MAGIC OF LOVE
Woh Kaisi Shakhs Hai
Woh Kaisi Shakhs Hai, K Her Roz Saza Deti Hai,
Phir Hansati Hai Wo, Itna K Sab Bhula Deti Hai,
Kabhi Jo Ro De To, Mujh Ko Bhi Bhool Jati Hai,
Aur Phir Bhool K, Mujh Ko Bhi Rula Deti Hai,
Humaray Pas Na Aane Ki, Kasam Kha Ker Woh,
"ASHWANI" Likhti Hai Woh, Khaghaz Pe Urra Deti Hai,
Us se Poocho K Bata, Kis Se Muhabbat Hai Tumhe,
Naam Sargoshi Main, Mera He Suna Deti Hai,
Kabhi Kehti Hai, Chalo Sath Hamesha Mere,
Chal Paroon Sath To, Rasta Hi Phira Deti Hai,
Khud Hi Kehti Hai, Na Dohrao Purani Yaadein,
Mai Na Dhohraoon To, Phir Khud Hi Suna Deti Hai,
Khud Hi Likhti Hai, Ke Jazbaat Me Hulchul Na Karo,
Aur Phir! Khud Hi Nayi Aag Laga Deti Hai...!
FROM:-
ASHWANI THKUR
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ashique-E-Bimar Hoon Deewana na Banana
Kachi Deewaar Hoon Thokar Na Lagana Mujhko,Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujhko
Tumko Aankho Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon,
Dil Mein Dhadkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujhko
Baat Karne Mein joh Mushkil ho Tumhe Mehfil Mein,
Main Samajh Jaaunga Nazron Se Bataana Mujhko
Vaada Utna Hi Karo Jitna Nibha Sakte Ho,
Khawab Pura jo na ho woh na Dikhana Mujhko
Apne Rishte ki Nazaakat ka Barham Rakh Lena,
Main to Ashique-E-Bimar Hoon Deewana na Banana Mujhko
Kachchi Deewaar Hoon Thokar Na Lagana Mujhko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujhko.
From:- Ashwani Thakur~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apna Keh Nahi Sakta
Woh apna to hai par use apna keh nahi sakta,woh ik pal ko bhi roothe, main seh nahi sakta
Pyar jitna bhi ho pyar hi rehta hai,
Samandar kabhi nadee mein beh nahi sakta
Joh aaj hai us mein he khush raho usko hi jiyo,
Kal kaisa ho aur kya ho koi kuch keh nahi sakta
Woh tujhe mile na mile yeh baat sach hai,
Tu uske bina woh tere bina reh nahi sakta.
From:-Ashwani Thakur